Monday, January 23, 2012

Aaj aankh mein nami si hai

Aaj phir aankh mein thodi nami si hai,
Dil ne phir kiya hai tumhe yaad,
jab zindagi main khal rahi tumhari kami si hai,
Sab yadein ho gayi hai dhundli,
abh inpe waqt ki dhul jami si hai,
aaj phir aankh mein thodi nami si hai.

Na jaane dil kyon sunta raha,
jo tumne kabhi kaha nahi,
Tere izhaar-e-mohabbat ka ik waham tha,
abh woh bhi raha nahi,
Kab tak chalate is waham se ishq ki gaadi,
abh iski bhi raftaar kuch thami si hai,
aaj phir aankh mein thodi nami si hai.

Har pal, har lamha jo guzar gaya,
woh tere intezaar ka gawah hai,
Dil kitna bhi kahe bhulade use,
tu aaj bhi iske dhadakne ki ik wajah hai,
Abh tak ud raha tha dil ishq ke jhute aasmaan mein,
abh isko mili ek zameen si hai,
aaj phir aankh mein thodi nami si hai, thodi nami si hai.

No comments:

Post a Comment