kyon udta hai tu kwhashihon ke asmaan main,
kya dhundhe hai tu is gumshuda jahan main,
kyon dekhe hazaaron sapne, kuch pure aur baaki adhure,
jo ho sake pure aise sapne tu bun,
aye dil-e-nadaan kabhi meri bhi sun, kabhi meri bhi sun
kyon jaag jaata hai tu ansuni aahton se,
kyon behak jaata hai tu ankahi baaton se,
yeh aahtein yeh baatein,
kuch aur nahi, hain yeh teri apni hi dhun,
aye dil-e-nadaan kabhi meri bhi sun, kabhi meri bhi sun
yeh manzil ki chaahat to ek chalawa hai,
dikhe jo manzil tujhe, woh manzil nahi ek dhikhawa hai,
yeh chalawa yeh dikhawa,
jo le jaaye tujhe in sab se dur aisi rah tu chun,
aye dil-e-nadaan kabhi meri bhi sun, kabhi meri bhi sun